26/08/2016
JUMA KE EHKAAM – JUMA KA
DIN MUSALMANO KE LIYE EID
HAI..!!
Nahmaduhu wa nusalli alaa rasoolil kareem,
amma baad/..........
Juma ka din hum Musalmano ke liye EID jaisa
darja rakhta hai.
Juma ke din ki hui ek neki ka ajr 70 guna badh
kar milta hai.
Aur ek burai ka Gunah bhi 70 gunah badh kar
milta hai.
1. Juma ko gusal zaroor kare. Huzur saw ne
farmaya” Jis shakhs ne JUMA ko (paak hone ke
bawjood sirf sawaab ki niyat se) gusal kiya to
uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain”
Ek dusri hadees me hain ki ” Juma ka Gusal
baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal
phekta hai”
2. Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki
Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me
hoti hai ki Huzur saw per padha jane wala
DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal
DURROD IBRAHIM hai.
3. JUMA ko SALAAT-ut-TASBEEH ki namaz bhi
padhe. Huzur saw ne farmaya ki ” Ye namaz jo
padhta hai uske agle-pichle, chote-bade, jaan
bijh kar kiye hue aur anjane me kiye hue, sabeera
aur kabeera, sab Gunah maaf ho jate hain. ” Aur
JUMA ko sab amal ka sawaab 70 guna badh kar
milta hai to is ki Fazeelat aur badh jati hai.
4. JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye
DUROOD 80 padhega ” ALLAHUMMA SALLI ALAA
MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA
AALIHI WASALLIM TASLEEMA ” to uske 80 saal
ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske
aamaal-naame me likhi jaegi.
5. JUMA ko SURA KAHF padhe, Huzur saw ne
farmaya ” Jo shakhs Juma ko Sura Kahf padhega
to agle hafte tak uske saath ek noor rahega jo
KAABE tak pahuchta hoga aur agar is dauran
DAJJAL nikal aaya to uske fitne se mahfooz
rahega ” Ek dusri Hadees me hai ki “Jo shakhs
JUMA ko SURA KAHF padhega to agle hafte tak
ke uske Gunaho ka kaffara ho jaega”
ALLAH hum sab ko tofiq de aur zyada se zyada
DEEN ki mehnat karne wala banaye.